Wo bhi kya din the...

For the past 2 days I had been keeping myself busy with the making of the college video-"Wo bhi kya din the."
This video, originally thought up by my friend, Ashutosh Nath way back in August 2009 was supposed to be a small scale video involving only the CSE students of our batch and was supposed to be shot by his little handycam. But after that Ashutosh himself suffered some health problems but that didn't kill his spirit and will to make this video successful. In fact, the final version of the video has been shot with a professional high definition camera by professionals, the cast includes biggies like Samanta sir and M.N.Das sir (Ashutosh Nath also :P), all artists had worn make-up which was again done professionally and video includes students from all branches. Great job man! I think ur patience is well rewarded. I still remember the day when he had told me his idea. It was his birthday-24 Aug. N till then I was the 3rd person to know about his upcoming plan, 2nd being Anurag Patra. I was a bit depressed on that day n there were some reasons due to which I didn't want to be part of the video but still I would help and support him in any other manner possible. Dude, hope I have fulfilled my promise! :)

I felt a song so fine should be available on the net with the lyrics and other details. Click here to listen to the final audio version of the song. The audio is really excellent. Let's see what the video turns out to be with us amateur actors giving mediocre shots in several cases. Wish we had some more time. This video could have been a lot lot better.

Details of the song...
Lyrics-Ashutosh Nath
Music-Ashutosh Nath
Singers-Ashutosh Nath, Tulika Nayak
Cast-Achyutananda Samanta, Madhabananda Das, Ashutosh Nath, Ankita Mawandia, Roshan Kumar, Bikram Kumar Sinha, Alok Kumar Singh, Nidhi, Shivi Srivastava, Apratim Gupta, Shruti Prashant,  Rahul Singh Samant, Shreepta Mohanty, Ajay Kumar Prajapati, Anurag Jayant Patra, Siddharth Das, Ananya Mohapatra, Arpit Ratan, Manisha Pandey, Abhishek Gupta, Vicky Agarwal, Ritesh Gautam, A. Sudeep Subudhi, Jignesh Patel, Nandita Sahoo, Shruti Mahato,  Nakul Dhadheech, Abhishek Anand, Abhishek Azad, Rashmi, Saloni Choudhary, Ayesha Ghosh, Romeo Ranjan Parida, Nishant, Ashish Panigrahi, John Pattnaik, Amresh Dutta.
Director-Ashutosh Nath n 1 idiot! :P

Kudos to Ashutosh Ankita for making this what it is!!! Here are the lyrics…
Wo Bhi Kya din thhe, Kya haseen pal thhe

Saath thhe apne yaar saare

Dhundle khwaabon mein, dekhta hoon main,

Beete jo din the wo hamare

Ab chahun bhi to na laut ke aayenge who pal

Kehta hai mujhse dil mera tu sabko leke chal.

Us waqt mein jab khushiyon ka tha har lamha

Har wo din jo humne jee bhar ke jiya thha

socha na humne

Door honge ik doosre se hum

Aankhen sabki hongi aise nam

Dil bhi apna yehi chahega

Dil bhi apna yehi chahega

Apni yeh zindagi yahin pe hi beete

saath jo hai apna kabhi bhi na chhoote

zindagi ka jo hai nasha phir se hum peelein

ik baar un dino ko phir se hum….jee lein!!!

Aayein yahan jab thhe chehre saare anjaane,

Bichchdenge ab hum jo hoga kal kya kaun jaane

par na bhula paayenge hum wo din

jab hum sabke sab milke

RAP
Raat bhar English saneema dekhte the

Aur agle din class mein assignment likhte thhe

Wo proxiyon ka roz pakda jaana

Wo 'O' ke badle 'F' waala grade aana

Wo endsems mein toppers ka dimaag khaana

Wo micronotes ko innerwears mein chhupaana

Wo canteen mein ladkiyon ko line maarna

Wo khaas unpe apna dil haarna

Wo har proffessor ki alag se nakal utaarna

Wo har galti ko ek baar mein sudhaarna

Wo bahane banaake hostel se bhaagna

Aur agle din ke sunrise tak jaagna

Wo apne room se drums aur guitar ka shor

Wo baju waale room ka chillana no more

Wo first year se ladkiyon ka number laana

Aur apne roommate ka balance unpe lutaana

Wo jhagda saadhe char rupaiye ke ciggarette ke liye

Wo kehna "yaara iske bin hum kaise jiye?"

Wo LAN games ke liye raat raat jagna

Placement officer ke haath apna hub lagna

Wo adhi raat ko birthday ka celebration

Wo b'day bums, cake aur ek foto session

Chalo thodi der ke liye hoga genre abhi change

Yaar hum rap kar rahe hain aint tht kinda strange?

---END OF RAP---
Kuch aisi baatein jo ankahi hai

Keh daalo unnko , mauka yahi hai

Kal kahin bhi jaayein tum hum

Na hoga yeh samaa yeh mausam,

Dil bhi tab ye chahega ke

Apni yeh zindagi yahin pe hi beete

saath jo hai apna kabhi bhi na chhoote

zindagi ka jo hai nasha phir se hum peelein

ik baar un dino ko phir se hum….jee lein!!!

Yaad aayenge jab aap humko kabhi

Khwaabon mein gum ho jaayenge hum us ghadi

Yaadein hongi taaza kyunke

---RAP 2---
Aaj bhi hai yaad yaara mujhko wo din

First year waale andar aate nahi thhe formals ke bin

Achchi lage humko aisi nahi thi koi bhi cheez

Why did the girls have to wear salwaar kameez?

Ik saal baad second year mein entry mila

Phir dobaara hua chaalu kisson ka silsila

Wo jee bhar ke juniors ka intro lena

Wo kehna unse "ae, mera assignment likh dena"

Wo attendance ke liye sir ke pair panda

Wo bachchon jaisi baaton ke wajeh se ladhna

Wo 3rd yr mein chadhna sir pe placement ka bukhaar

Wo lena apne doston se paise udhaar

Wo recession ke hatne ka fizool intezaar

Wo aana sapne mein company se joining letter baar baar

Wo fourth year mein aake ehsaas hona

Ik saal baad humko hai yeh sab khona

4 saal kaise guzre kuch pata bhi na chala

Kya bataun tumhe yaaron mujhe yahan kya mila

A big picture of life in a much larger frame

Man after a year its never gonna b the same

---END OF RAP---
Har haseen lamha abb ek tasveer hai

Kal jo bhi hoga bas apni taqdeer hai

Khaali haath aaye thhe hum

Hain itni khushiyan thode se gham

Dil yeh apna to ab bhi chahe

Apni yeh zindagi yahin pe hi beete

Saath jo hai apna kabhi bhi naa chhoote

Zindagi ka jo hai nasha phir se hum peelein

ik baar un dino ko phir se hum……jee lein.. jee lein!!!!!!